Prastut Pustak Bachpan ke smritiyon Aur waqt ke nirantar chalte rahne se usme hone wali Kshti ko kavitaon ke madhyam se darshane ka karya karti hai. Is baat mein koi sandeh nahin ki waqt ke sath bhaagte bhaagte ateet ke kai aise kshan hote hain jinka vartmaan me koi lekha jokha nahin hota. par wo itne sundar aur itne lubhavne hote hain ki hamaara man baar baar vartmaan me unke jeevant hone ki kalpana karta hai. Prastut pustak aise hi kshano ke sankalan se saji hui kavitaon kaa ek sangrah hai jiske dwara ateet ke andhkaar me khoi hui smritiyon ko vartmaan ke prakaash me laane ka ek prayaas maatra kiya gaya hai.
Related Subjects
Poetry