'Dhoop ke Chilke': yeh ek aise vyakti ki kahani hai jo ek samay mein ek saath kai jagah, kai smritiyon mein aata-jata rehta hai.
Usne chand ki aur dekh kar socha -- iss sheetal chandni ke sparsh ke dwara, vah, uss beet chuke samay mein bhi upasthit hai jo ab bhi yahin-kahin hai. Yeh sukoon bhari raat ek nijhi vishudh anubhuti hai, jo karib do dashak pehle, uss bus yatra waali raat bhi thi aur aaj bhi hai. Usne anubhav kiya ki vah shayad quantum superposition ki si awastha ki bhanti, ek hi samay mein do alag-alag sthitiyon mein upasthit hai, ya jaise kisi photon par sawaar hokar inn do vibhinn sthano ki raaton mein aa-jaa raha hai. Vah inn dono sukoon bhari raaton mein ek saath, ghar ki chatt par bhi aur bus yatra mein bhi, upasthit hai. Aur uski, chatt par muskurahat, uss bus yatra mein kisi vakaye par hansi mein tabdil ho rahi hai.